Coke Studio | Season 14 | Phir Milenge | Faisal Kapadia x Young Stunners - Lyrics in English- Adnan Dhool & Xulfi

Coke Studio | Season 14 | Phir Milenge | Faisal Kapadia x Young Stunners Lyrics - Adnan Dhool & Xulfi


Coke Studio | Season 14 | Phir Milenge | Faisal Kapadia x Young Stunners
Singer Adnan Dhool & Xulfi
Composer Xulfi
Music Xulfi
Song WriterAdnan Dhool, Talha Anjum, Talha Yunus, Additional Lyrics by Xulfi

Lyrics

[Intro: Faisal Kapadia]

Dil ke kisi

Konhe mein hi

Yaadein teri, maine

Chupa rakhi hai

Chupa rakhi hai

Bhoola nahi

Tu bhi mujhe

Baatein yun hi, maine

Bana rakhi hai

Bana rakhi hai



[Verse 1: Talha Yunus]

Samaya tha dil mein woh aisey

Anjaane doh miltay phir kaisey

Tum baarish mein bheege hum behtay

Samandar kinarey jo rehtay


Umeedain laga ke woh bethay

Jo apne ki gham woh bhi sehtay

Yeh duniya toh chahti ke behkain

Yeh baarish yeh khushboo se mehkain



[Verse 2: Talha Anjum]

Mile dard bohot

Kabhi tu bhi mil

Dil mein rehti nai

Jaan ab tu hi dil

Aaj phir aayi na tu

Intezaar raha mustaqil

Taveel hai gham ki sham

Kahani mohabbat ki mukhtasir


Nazarsani karo zara si

Qadar karo meri qala ki

Jaanay wale chalay jaate hain

Kismat yehi to qabu main nahi ati

Chaoon mein dhoop ki tarah

Jism main rooh ki tarah

Guzray dimagh se yaad teri

Lagatar lahu ki tarah

Ab khaye jaayein yеh dar-o-dewaar

Mujhe kisi bhook ki tarah

Teray bina nahi ghar bhi ghar

Akailay mеhsoos yeh kiya

Teri kami puri huyi na

Aaj bhi rahi aik dil mein khala

Khiza bhi aayi par

Waqt aur zulm ka baagh bhi

Raha na hara

Tera hi aitbaar baki saari

Duniya pe bharosa nahi bana

Tu muj main dekhay insaan

Baaki saari duniya ko dikhe bas qalaa

Tu hai!

Main hu!

Aur gehri khamoshi

Hum dono hi nahi suntay

Joh kuch bhi yeh kehti hogi

Gali yeh dil ki tang

Ab tera us main aana na ho

Dil ke mohalle mein

Ab teray mera jana na ho

Tu hai!

Main hoon!

Aur sirf fasle hain

Raapte munqata aur

Muntizir hum aapke hain

Raaz hee nahi raazdaar bhi

Kiya maangte hum

Khamiyo pe parde log

Kamhi yahan daaltay hain

Hum sihanay rakh ke khwaab

Raatein jaagte hain

Hum tumhain tum se bohot behtar jaantay hain



[Chorus: Faisal Kapadia]

Sargoshi mein loun

Naam tera

Tere liye, maine

Haaya rakhi hai

Haaya rakhi hai

Bhula nahi

Main bhi tujhe

Mere liye, maine

Saaza rakhi hai

Saaza rakhi hai



[Verse 3: Talha Yunus]

Zindagi pe

Likh chuke hai falsafe

Itni din lagi ki

Khudko hi na pardh saake

Beqadar tu darbadar

Yun bekhabar hi chal pardhe

Yaadein kheechti hai

Aage hi na bardh saake

Saadhgi ban chuki hai

Badhzhi, muntazar

Kharday usi mukaam pe

Hum aaj bhi, aaj phir tu aayi nahi

Aaj phir tu shayari

Aaj phir tu ek gumaan

Yaad teri khaye ghi


Oh thi meri razaa

Ab duaa ban gayi

Ae mere khuda kiya

Saaza bard gayi

Main jaagun saari raat

Woh subhah ban gayi

Garaj ke baraastay

Ab yeh baadal nahi

Tu mere har dard ki davah

Main dhoop mein kharda

Mehsoos kar zara

Mausam badaltay ve dekhain hain logoun ke badaltay roup ki tarah

Shamil hain ab teri dewaron mein

Milain gai

Khwabon mein rehtay

Khayalon mein ulje

Sawalon mein

Kya tum pehchano gay

Ya phir mehmanoun se kaisey bharosha

Karain ab insanoun pe?

Tuhi khwaab, tuhi meri khwaish

Tuhi ehsaas

Main bayabaan tu baarish

Milenge phir kabhi

Umeed bhi tu aas bhi

Khuli kitaab kartay

Zakhmohn ki numawish



[Chorus: Faisal Kapadia]

Khaani kaha

Khatam hoti hai

Poori nahi

Har kasam hoti hai

Phir milenge kabhi

Ajnabi ki tarah

Iss aas mein

Dil ne

Subah rakhi hai

Subah rakhi hai

Subah rakhi hai




Coke Studio | Season 14 | Phir Milenge | Faisal Kapadia x Young Stunners Watch Video